Des Pardes-hindi-1913
aap kahe aur ham na aaye aise to halat nahi manzil pe pahunchege kaise aapka jab tak saath nahi aap kahe aur ham na aaye aise to halat nahi
chahne valo ke aaj duniya me chahne vale aa gaye ulfat ki may aankho se lo aaj pilane vale aa gaye aap piye aur aap na jhume aap ke bas ki baat nahi manzil pe pahunchege kaise aapka jab tak saath nahi
kasa hua hai tir husn ka zara sambhalake rahiyega nazar nazar ko maregi to katil hame na kahiyega chal chali hai sochake hamane is khel me apni maat nahi
paas aake ye aapke hame hone laga ehsas hai dam hai to bas aapke damse aap hi se saans hai bayan kare jo haal e dil ko aise koi jazbat nahi
aap kahe aur ham na aaye aise to halat nahi manzil pe pahunchege kaise aapka jab tak saath nahi aap kahe aur ham na aaye aise to halat nahi