jo hamane dasta apni sunai aap kyun roye – 2 tabahi to hamare dil pe aai aap kyun roye

hamara dard-e-gam hai ye ise kyo aap sahate hai ye kyu aansu hamare aapki aankho se bahate hai gamo ki aag hamane khud lagai aap kyun roye jo hamane dasta apni sunai aap kyun roye

bahut roye magar ab aapki khatir na royege na apna chain khokar aapka ham chain khoyege kayamat aapke ashko ne dhai aap kyun roye jo hamane dasta apni sunai aap kyun roye

na ye aansu ruke to dekhiye ham bhi ro dege ham apne aansuo me chand taro ko dubo dege fana ho jayegi sari khudai aap kyun roye jo hamane dasta apni sunai aap kyun roye