Adami musafir hai

Adami musafir hai

Apnapan-hindi-1913

adami musafir hai aata hai jata hai aate jate raste me yade chhod jata hai

jhonka hawa kaa pani kaa rela mele me rah jayey jo akela phir woh akela hee rah jata hai

kab chhodata hai yeh rog jee ko dil bhul jata hain jab kisi ko woh bhulakar bhi yad aata hai

kya sath laye kya tod aaye raste me ham kya kya chhod aaye manjil pe ja ke yad aata hai

jab dolati hai jiwan kee naiyya koyi toh ban jata hain khiwayya koyi kinare pe hee dub jata hai