ya kareem o ya ghaffaar o raheem o ‘azeem o sari’ ur-raza us pe hi raazi rahoon jo kiya tu ne mujh ko ‘ata ya kareem o ya ghaffaar o raheem o ‘azeem o sari’ ur-raza us pih hi raazi rahoon jo kiya tu ne mujh ko ‘ata

yeh jo nadaamat ki maala hai mere gale men padi tasbeeh isko bana de ilaahi tasbeeh isko bana de ilaahi tasbeeh isko bana de ilaahi

allaahumma inni as’aluka birahmatika ya z’ul-jalaal apne kiye pe jhukaaye hoon sar dil mein ranj-o-malaal tu jo sune na sunaaunga kisko yeh faryaad main tu hi sami’ ul-baseer ul-mujeeb tu hi sami’ ul-baseer ul-mujeeb tu hi sami’ ul-baseer ul-mujeeb

rabb-i azaan-i bilaali bhi tu arham bhi tu aur jalaali bhi tu kun fayakun ka bhi khaaliq hai tu tu rabb-i mustafa allaahu akbar tu rabb-i murtaza allaahu akbar rabb-i siraat-i mustaqeem allaahu akbar tu rabb-i kaa’bah allaahu akbar nooh ki kashti ko dekhta hoon hauz-i nadaamat mein ḍooba hua hoon

ya raheem kar de tu mujh ko qurbat ‘ata ya kareem dar-guzar kar de meri khata ya raheem rahmat ka teri talab-gaar hoon ya kareem bandah main tera gunaah-gaar hoon

daryai aatish mein hum bas yoonhi jal jaaenge gar tu sahaara bane ya rabb sambhal jaaenge

tu hi to woh raushani hai ki jis se main ghaafil huwa jaane anjaane gunaahon se kuchh bhi nah haasil huwa

ho teri nazr-e-karam to yeh mushkil bhi tal jaayegi tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem tu hi lateef ul-khabeer ul-haleem

rabb-i deewaar-i z’ul-qarnain tu rabb-i mai’raaj-i kaunain tu rabb-i ismaa’eel o zam-zam bhi tu tu rabb-i ibraaheem allaahu akbar tu rabb-i jibraaeel allaahu akbar rabb-i malaaika allaahu akbar tu rabb-i kausar allaahu akbar apne ghulaamon ki de ghulaami ya mutakabbir ya mughni ya mughni

roz-i hashr ka andaazah naheen bakhshish ka saamaan laaya naheen hai meri iltija kar de qurbat ‘ata karde rahm o karam miskeen hai tere dar pe khada

mere iraade jo ṭooṭe to mujh ko pata yeh chala teri hukoomat mein hoga wahi bas jo tune kaha apne habeeb ke sadqe sun le meri yeh dua tu hi muqeet ul-haseeb ul-jaleel

rabb-i zarb-i haidar o hamzah bhi tu rabb-i ‘asa-i moosa bhi tu tu ru-ba-ru bhi aur hai ku-ba-ku tu rabb-i ‘eesa allaahu akbar tu rabb-i maryam allaahu akbar rabb-i sahaabah allaahu akbar tu rabb-i panj-tan allaahu akbar nooh ki kashti ko dekhta hoon hauz-i nadaamat men ḍooba hua hoon

ya raheem ya kareem ya raheem ya kareem ya raheem kar de tu mujh ko qurbat ‘ata ya kareem dar-guzar kar de meri khata ya raheem rahmat ka teri talab-gaar hoon ya kareem bandah main tera gunaah-gaar hoon kar de tu mujh ko qurbat ‘ata dar-guzar kar de meri khata rahmat ka teri talab-gaar hoon bandah main tera gunaah-gaar hoon kar de tu mujh ko qurbat ‘ata dar-guzar kar de meri khata rahmat ka teri talab-gaar hoon bandah main tera gunaah-gaar hoon