Madan Mohan - Tere Bagair-hindi-1913
aye dil aye naadaan – 2 laakh bahaarein aayi phir bhi nagari teri viraan aye dil aye naadaan
kitane hi khaab dekhe taaron ki roshani mein itane kareeb aaye chhoti se jindagi mein kitane khayaal bunkar ik jaal sa banaaya bhule se koi panchhi lekin idhar na aaya aye dil aye naadaan laakh bahaarein aayi phir bhi nagari teri viraan aye dil aye naadaan
reh rehake ik tassvur tujhako sata raha hai tu ghum ko kha raha hai ghum tujhako kha raha hai tu aap hi na jaane kisaki tujhe lagan hai tu jisame jal raha hai woh kaun si agan hai aye dil aye naadaan laakh bahaarein aayi phir bhi nagari teri viraan aye dil aye naadaan
abb tak jo hai adhuri tasbir kab banegi mehbub kab milega takdir kab banegi maayusi ki badali ghir ghirake chha rahi hai ummid ik jhula phir bhi jhula rahi hai aye dil aye naadaan laakh bahaarein aayi phir bhi nagari teri viraan aye dil aye naadaan aye dil aye naadaan