Hunter-hindi-2015
Lyricists:
Swanand Kirkire
Singers:
Amit Trivedi
doodh ki moochhon waala moot ke penchon waala doodh ki moochhon waala moot ke penchon waala phunsi karochon waala bachpan bhi tha saala phunsi karochon waala bachpan bhi tha saala
na yaadon ke chakkar the na sapnon ke machchar the hum hi the apne shehanshah khud apne afsar the ek tu tha thoda tedha ek main bhi thoda medha aur ek tha waqt kabootar jo khidki pe na thehra chor police waala bachpan bhi tha saala
tujh jaisa ban-na chaha tujhe jeb mein rakhna chaha toone door se thenga dikhaya kabhi hath na mere aaya main roya main chillaya tu hath na mere aaya doodh ki moochhon waala moot ke penchon waala luchche lafangon waala bachpan bhi tha saala gachchi pe sutton waala bachpan bhi tha saala
maine sazish phir kar daali ungli pistol bana li kaani aankh se aim laga ke dham se goli chala di aur tu tapka dhool se chipka rok li saansein baj gayi taali woh khel be oh saale sab jhoot tha be oh saale baazi chhod ke jaane waale yeh beimani hai yeh beimani hai oh saale