Aas Paas-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
Singers:
Lata Mangeshkar
bhare bazar me ham kyun – 2 ye dil ki bat le jaye bhare bazar me ham kyun ye dil ki bat le jaye yehi achchha hai apana gam ham apane sath le jaye bhare bazar me ho o o………
jamane ne nasibo ke hawale kar diya hamko jamane ne -2 nasibon ke hawale kar diya hamko jaha chahe jidhar chahe pakadkar hath le jaye – 2 bhare bazar me ho o o………
meharbano kabhi tumne liya tha karz jo hamse meharbano -2 kabhi tumne liya tha karz jo hamse wohi de do samajhkar ham usse khairat le jaye – 2 bhare bazar me ho o o………
kaha aankhe kaha badal magar dil me ye aati hain kaha aankhe -2 kaha badal magar dil me ye aati hain bahut roye chupakar ghar me ye barsat le jaye – 2 yehi achchha hai apana gam ham apane sath le jaye bhare bazar me ham kyun ye dil ki bat le jaye