Chalo re dolee uthao kahar

Chalo re dolee uthao kahar

Jaani Dushman Old-hindi-1913

Lyricists

chalo re dolee uthao kahar piya milan kee rut aayee pee kee nagaree le jao kahar piya milan kee rut aayee

jin nainon kee tu hai jyotee unn nainon se barase motee dava nahee hai koyee jor nahee hai beti sada hee parayee hotee jaldee naihar se le jao kahar piya milan kee rut aayee

chhaayee hai dekho hariyalee aai hai rut khushiyo walee har aasha parvan chadhee din hai dasahara rat diwalee gale dal bahon kaa har kahar piya milan kee rut aayee

tan maike mann teree nagariya udd jau mai banake badariya chand nagar ko chalee chakoree pyasee hu milan kee sanvariya mere sapne sajao kahar piya milan kee rut aayee

sunee padee bhaiya kee havelee vyakul bahana rah gayee akelee jin sang nachee jin sang khelee chhut gayee woh sakhee sahelee abb na deree lagao kahar piya milan kee rut aayee