Saraswati Chandra-hindi-1913
Singers:
Lata Mangeshkar
kaha chala aye mere jogi jeewan se tu bhaag ke kisi ek dil ke karan yun sari duniya tyaag ke
chhod de sari duniya kisi ke liye yeh munaasib nahin aadmi ke liye pyaar se bhi zaroori kayi kam hain pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye chhod de sari duniya kisi ke liye
tann se tann ka milan ho na paaya to kya mann se mann ka milan koi kam to nahin 2 khushboo aati rahe door hi se sahi saamne ho chaman koi kam to nahin 2 chand milta nahin sabko sansaar mein hai diya hi bahut roshni ke liye chhod de sari duniya kisi ke liye
kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin 2 ek duniya ujad hi gayi hai to kya doosra tum jahan kyun basaate nahin dil ne chaahe bhi to saath sansaar ke chalna padta hai sab ki khushi ke liye chhod de sari duniya kisi ke liye