Baazaar-hindi-2018
chhod diya wo raasta jis raaste se tum the guzrein
chhod diya wo raasta jis raaste se tum the guzrein tod diya wo aaina jis aaine mein tera aks dikhe
main shehar mein tere tha gairo sa mujhe apna koyi na mila tere lamhon se mere jakhmon se ab toh main door chala
rukh na kiya unn galiyon ka jin galiyon mein teri baatein ho chhod diya wo raasta jis raaste se tum the guzrein
main tha musafir raahan ka teri tujh tak mera tha daayara
main tha musafir raahan ka teri tujh tak mera tha daayara main bhi kabhi tha mehbar tera khanabadosh main ab thehra khanabadosh main ab thehra
chhoota nahi unn foolon ko jin foolon mein teri khusboo ho ruth gaya unn khwaabon se jin khwaabon mein tera khwaab bhi ho
kuchh bhi na paya maine safar mein hoke safar ka main reh gaya
kuchh bhi na paya maine safar mein hoke safar ka main reh gaya kaagaz ka wo seedha ghar tha bheegte baarish mein beh gaya bheegte baarish mein beh gaya
dekhun nahi uss chaandni ko jis mein ke teri perchhayi ho door hoon main in hawaaon se ye hawa tujhe chhoo ke bhi aayi na ho