Desi Dan Bilzerian-hindi-2021
ya ya ya..
jo jaante ni unko bhi lagun familiar
bana main shak se ni beshak kahunga clear
main maal fook’ke na likhun yeh buddhi tez itni
albumein bana ke fekun ek below na million
main mauj kaatun jaise desi dan bilzerian
jo khaate khar saale baithe aaj pavilion
kal hi shaam aisi bandi se mila tha
jiska naam piche kaur par vibe thi brazilian
khelen hum aag se aur khelte hum raag se
yeh bache kitne bhi bade bade na baap se
main naam rashi aisi rakhke ghumta hoon
bande kehte kam karne ka tarika seekhe aapse
haan khulla khana khud kamana
khul ke jeena jinse milta sab haseena
jaise ghoomta baharon mein
haan hoon kamina par nageena leke ghumun
har mahina poora saal
jaise jeeta hoon tyoharon mein
haan thoda paapi main gaali deta kaafi
par zindagi mein badne ke liye
kabhi na chaati
teen button se bahar chhati
shine maare proud se
aur bhaichara rakhe na karte
dekh ke hum jaati
halla kaate poora hum jhund se dara na karte
kare fateh poori adhoori jung lada na karte
aagaz maar de ajam se jo pehle
hum woh kaal beta jinke hath
roshini dhara na karte
khada ghamand hua toh baat kyun baithate ho?
kamzor dekhke hi hath kyun uthate ho?
akele mod di kalai aflatuno ki toh duniya
humse kehti itna kehke kyu jataate ho?
jo raaz rakhle aisa raaz kisse raazi hai?
main haar ke bhi jeeta kheli aisi baazi hai
yeh sach pasand nahi toh kaan apne karlo band
main dheere dheere faadu beta
kaun si jaldbaazi hai
aankhein band karke bhi main dekhun duniya ko
yeh duniya gairo se bhi zyada apno se mari hui
muthhi khol ke main kya hi lunga
apno se jo apno ki hi aankhein
mere chehre se jali hui
mere hath dono baandh doge
jhoothe ilzamo se toh maan lunga
gairon ke tum sath ho
magar har baat ka jawab deta hai yeh waqt
meri baatein kadwi ya tum kitne dil ke saaf ho
aaj bhi shikand na mathe par tum dekhoge
chahe khada akele chahe kitne piche waar ho
bhale manzoor na ho dushmano se haarna
par dil ke tukde hote hain
jab dushmano mein yaar ho
ek din jab pata chalega sach
toh pair zameenein chhod denge
aankhein khud se ruth jayengi
hum toh baithe honge pohoch se bhi door
bekhabar tab jaani kadwi hi
yeh baatein tumko khayengi
apna kya hai hum to bande hi hain mood ke
jahan milega pyaar
hum wahi pe dil lutayenge
humse kya hi paoge tum dil dukha ke
hum toh iski bhi nazam banake
pyar loot jayenge
teen nashe the pyaare ek aur jud gaya hai
tarrakki kehti raja mujhko leke ud gaya hai
kehti pakad mein main na aati ache acho ke
par tujhme aisa kya hai
mera poora dhayan mudh gaya hai
ab kehti haar ka jua bhi jeetega
main likh ke deti hoon
zamana tere liye ruk gaya hai
agar pata chale farak to marz kosega
main kya hun dawa
tu khud zeher jo pee ke uth gaya hai
jo jaante ni unko bhi lagun familiar
bana main shak se ni beshak kahunga clear
main maal fook’ke na likhu yeh buddhi tez itni
albumein bana ke fekun ek below na million
main mauj kaatun jaise desi dan bilzerian
jo khate khar saale baithe aaj pavilion
kal hi shaam aisi bandi se mila tha
jiska naam piche kaur par vibe thi brazilian