Aankhen 1968-hindi-1913
Singers:
Lata Mangeshkar
gairo pe karam apno pe sitam eh jan-e-wafa ye zulm na kar rehne de abhi thoda sa bharam eh jan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar gairo pe karam…
ham bhi the tere manzur-e-nazar dil chaha to ab iqrar na kar sau tir chala sine pe magar begano se milkar war na kar – 2 be-maut kahi mar jaye na ham eh jan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar gairo pe karam……
ham chahne wale hain tere yu hamko jalana thhik nahi mehfil mein tamasha ban jaye is darja satana thhik nahi – 2 mar jayenge ham mit jayenge ham eh jan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar gairo pe karam……