Music Directors:

 Amit Trivedi

hum hain insaaf hum hain hum hain insaaf hum hain insaaf hum se badlega ye zamana

shareefon ka dost haramiyon ka patta saaf patta saaf patta saaf patta saaf patta saaf…

apun ka kaam apun ka naam dono is insaaf dono is insaaf

jab jab dharti pe kahin paap hoga paapi ka papad banane uska baap hoga nevla koodega ab jaisa bhi saanp hoga ik ik gali mein ab apna jaap hoga ha ha ha ?

apun ka kaam apun ka naam dono is insaaf

hum hain insaaf hum hain hum hain insaaf hum hain insaaf hum se badlega ye zamana

isiliye rehna ab insaaf se darr ke kaam ke baad sharafat se rehna ghar pe kyunki bahar hum hain chaaron taraf hum hain matlab ki… bhrashtachar ka gala katega ab toh hoga kamaal dhokebaazi ka bhaanda phootega ab hoga dhamaal styagrah ka danda padega inki karega inki laal saare deshdrohi pitenge dekho aaya bawaal saare deshdrohi pitenge dekho aaya bawaal dekho aaya bawaal…

apun ka kaam apun ka naam dono is insaaf

hum hain insaaf hum hain hum hain insaaf hum hain insaaf hum se badlega ye zamana x2

shareefon ka jeena mushkil aazadi mein ghoom rahe kameene bindass saale kar rahe hain kaand roz har taraf hai bhrashtrachar maslon ko suljhaane waale pe hi atyachar hai ab bhott seh liye atyachar paap karne waalon ko saaf karna padega samaapt karna zaroori hai haq ki ladaai jurm ho jahaan bhi hogi uski pitaai dhokebaazon ko daboche kar na paaye kuch bhi

khisyani billi khamba noche humse bachna mushkil desh ki awaam thoda soche deshdrohiyon ki haar hogi jeet insaaf ki gandi hawa hogi par chalegi hawa saaf si

hum hain insaaf hum hain hum hain insaaf hum hain insaaf hum se badlega ye zamana x2