ab tum chaaho paas aate ho jab tum chaaho door jaate ho

jab tum chaaho paas aate ho jab tum chaaho door jaate ho chalti humesha marzi tumhari kehte ho phir bhi pyaar karte ho

maana maine galtiyan ki thodi thodi saktiyan ki ishq mein thodi si mastiyan ki

jab tum chaaho shiqve gile ho jab tum chaaho dil ye mile ho chalti humesha marzi tumhari jaao bade aaye pyaar karte ho

dil ki baatein bolte nahin raaz apne tum kholte nahin apne mann ki tum karte ho sadaa mera mann tum tatolte nahin

sach hain teri ye sab shiqayatein tod dunga ye rivayatein bhool meri bhool jaana mujho aaya na rijhana magar chahta hoon ab manaana

jab tum chaaho hans ke bulaao jab tum chaaho ladte hi jaao chalti humesha marzi tumhari badi badi baatein pyaar karte ho

seekhni hain pyaar ki baariqiyan sabhi ho samay toh sikha dijiye abhi kaise kisi ko rijhaate baat-baat mein door kaise hoti kisi ki naraazgi

bhole banke karte ho gustakhiyan chhod do ye sab chalaakiyan baaton mein behlaao naa yun baat ko badhaao na maanungi na main manaao na yun

jab tum chaaho shaam saji ho jab tum chaaho raat dhali ho

ab tum chaaho jo bhi sazaa do bas thoda sa hans ke dikha do