Desh Premi-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
Singers:
Lata Mangeshkar
to jao jao arre jao na
jaate ho to jao par itna sun lo – 2 jao ji jao par itna sun lo thodi chudiya pehan lo ek ghaghra silwa lo – 2
aurat ki hifazat jo kar na paye us mard ko kya kehte hai ye to batao
jao ji jao par itna sun lo thodi chudiya pehan lo ek ghaghra silwa lo
yu bhi hamara mushkil hai guzara – 2
hume gussa nahi aata tumhe pyar nahi aata kehne ko to raja bante ho mard tum
par mujh ko maaf karna aitbar nahi aata mai abla mai nari khade sar pe shikari tum dar ke door baithe kitne achhe lagte ho
jao ji jaao par itna sun lo thodi chudiya pehan lo ek ghaghra silwa lo
ye jag lutera chhaya hai andhera – 2
tum ghar se kyon nikle tumhe ghar me rehna tha ghabrane lage kyu sharmane lage kyon
tum aise sharm wale hote to kya kehna tha haatho se aankhe karte ho band kyu ji band kyu ji band kyu le lo mera dupatta is ka ghunghta bana lo
jao ji jao par itna sun lo thodi chudiya pehan lo ek ghaghra silwa lo
muskil badi hai tumko kya padi hai – 2 tum jao thodi der me kuch log aayenge kal subah khabar ye akhbar me padhna wo tumhari rani ko utha le jayenge sunte ho raja raju ki jagah tum accha sa koi naam kisi ladki ka rakh lo
jao ji jao par itna sun lo thodi chudiya pehan lo ek ghaghra silwa lo
aurat ki hifazat jo kar na paye us mard ko kya kehte hai ye to bataao
jao ji jao par itna sun lo thodi chudiya pehan lo ek ghaghra silwa lo