Jawaan tum ho jawaan ham hain

Jawaan tum ho jawaan ham hain

Duniya-hindi-1913

javaan tum ho javaan ham hain ye pyaar tum se ho gaya hai milan ka ik pal gazab khuda ka jigar mein nashtar chubh gaya hai

ye garm reti ye paanv naazuk aji na jaao padenge chhaale meri ummeedon ka tum ho sooraj tumhaare dam se hain ye ujaale javaan tum ho …

vo thandi leharon mein kab hai thandak jo mere seene ki aag mein hai vo geet maujon mein kab milega jo mere saanson ke raag mein hai javaan tum ho …

na aage jaao hai gahara paani phir uspe shola hai ye javaani tumhare tapate hue badan se lagegi jal mein agan suhaani javaan tum ho …