Neerja-hindi-2016
Lyricists:
Prasoon Joshi
om tryambakam yajamahe sugandhim pushtivardhanam urvarukmiva bandhanan mrityor mukshiya maamritat
kehta yeh pal khud se nikal jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal
gham musafir tha jaane de dhoop aangan mein aane de jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal
talvon ke neeche hai thandi si ek dharti kehti hai aaja daudenge yaadon ke bakson mein zinda si khushboo hai kehti hai sab pichhe chhodenge
ungliyon se kal ki ret behne de aaj aur abhi mein khud ko rehne de
kehta yeh pal khud se nikal jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal
ek tukda haseen chakh le ik dali zindagi rakh le jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal
hichki ruk jaane de siski tham jaane de iss pal ki ye guzaarish hai marna kyun jee lena boondon ko pee lena tere hi sapno ki baarish hai
paaniyon ko raste tu banaane de roshni ke pichhe khud ko jaane de
kehta yeh pal khud se nikal jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal
om tryambakam yajamahe sugandhim pushtivardhanam urvarukmiva bandhanan mrityor mukshiya maamritat urvarukmiva bandhanan mrityor mukshiya maamritat
kehta yeh pal khud se nikal jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal jeete hain chal