Wajood-hindi-1998
Lyricists:
Javed Akhtar
Music Directors:
Anu Malik
kaise bataaoon main tumhe mere liye tum kaun ho kaise bataaoon kaise bataaoon main tumhe tum dhadkanon ka geet ho jeevan ka tum sangeet ho tum zindagi tum bandagi tum roshni tum taazgi tum har khushi tum pyaar ho tum preet ho manmeet ho aankhon mein tum yaadon mein tum saanson mein tum aahon mein tum neendon mein tum khwaabon mein tum tum ho meri har baat mein tum ho mere din raat mein tum subaah mein tum shyaam mein tum soch mein tum kaam mein mere liye paana bhi tum mere liye khona bhi tum mere liye hasna bhi tum mere liye rona bhi tum aur jaagna sona bhi tum jaaoon kahin dekhoon kahin tum ho vahan tum ho vahin kaise bataaoon main tumhe tum bin to main kuch bhi nahin kaise bataaoon main tumhe mere liye tum kaun ho yeh jo tumhaara roop hai yeh zindagi ki dhoop hai chandan se tarsha hai badan behti hai jis mein ek agan yeh shokhiyaan yeh mastiyaan tumko hawaaon se mili zulfein ghataaon se mili honton mein kaliyaan khil gayi aankhon ko jheele mil gayi chehre mein simti chaandni aawaaz mein hai raagini sheeshe ke jaisa ang hai phoolon ke jaisa rang hai nadiyon ke jaisi chaal hai kya husn hai kya haal hai yeh jism ki rangeeniyaan jaise hazaaron titliyaan baahon ki yeh golaaiyaan aanchal mein yeh parchhaaiyaan yeh nagriyaan hai khwaab ki kaise bataaoon main tumhe haalat dil-e-betaab ki kaise bataaoon main tumhe mere liye tum kaun ho kaise bataaoon kaise bataaoon kaise bataaoon main tumhe mere liye tum dharam ho mere liye imaan ho tum hi ibaadat ho meri tum hi to chaahat ho meri tum hi mera armaan ho takta hoon main har pal jisse tum hi to voh tasveer ho tum hi meri taqdeer ho tum hi sitaara ho mera tum hi nazaara ho mera yudhyaan mein mere ho tum jaise mujhe ghere ho tum purab mein tum pachhim mein tum utar mein tum dakshin mein tum saare mere jeevan mein tum har pal mein tum har chir mein tum mere liye rasta bhi tum mere liye manzil bhi tum mere liye saagar bhi tum mere liye saahil bhi tum main dekhta bas tumko hoon main sochta bas tumko hoon main jaanta bas tumko hoon main maanta bas tumko hoon tum hi meri pehchaan ho kaise bataaoon main tumhe devi ho tum mere liye mere liye bhagwaan ho kaise bataaoon main tumhe mere liye tum kaun ho kaise