Raja Aur Runk-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
satyabhama aur rukmini rani dono krishn ki thi deewaani bhaama agni ka angaara rukmini shital jal ki dhaara o puja ke phul chadhaati yeh paayal ke geet sunaati
kanhaiya o kanhaiya koyi murali ki taan suna de mere tann mann mein aag laga de laga de – 2 kanhaiya o kanhaiya
aa aa aa aa aa…
main hi tohe dekhu sawariya dekhe na koyi duji najariya mai hi to hu teri bawariya mai hi sunu bas tori basuriya bansi bajaiya kanhaiya o kanhaiya koyi murali ki taan suna de mere tann mann mein aag laga de laga de kanhaiya o kanhaiya
janm divas rukmini ka aaya sajani ne saajan ko bulaaya vyakul naina baat nihaare aaj mere ghar naath padhaare main nahi jaane dungi kaanha main na sunungi koyi bahaana priye kisika mann na todo dekho suno jaane do chhodo narayan narayan baat huyi kya krishn muraari kyun ruthi hai sundar naari achchhe samay par aap padhaare vipda mein hai praan hamaare rukmini kahe mere sang aao bhaama kahe naath mat jaao jiska nimantran aaya pehle bhagvan jaaye usake mehle narad ji narayan
rukmini ke sang chale kanhaayi bhaama ko yeh baat na bhaayi narayan kyun baithi ho khoyi khoyi mere yogya hai seva koyi bhare nahi abhi ghav purane phir aaye ho aag lagane main sabka sevak tum jaano chahe parakhlo jo na mano koi upay aap bataye wo sautan ke ghar na jaaye accha to ek vrat rakhogi apne pati ka daan karogi wah wah dhoonda khub upay aapse toh bas raam bachaay nis din dekhu jinake sapne kho baithu woh pritam apne tum nahi samajhi kaisa khona unake barabar tolke sona mol bhraman ko dena mohan ko waapas le lena bas itna hi aap kare wrat ki taiyaari bhaama jeeti rukmini haari parantu krishn hai bhaari jitna tere paas hai sona itna wa narad ji sone ke bhandar jo kholu ek nahi sau krishn main tolu narayan narayan
kuchh dhoka hai raam duhaayi itni bhaari nahi kanhaayi yeh tera sona nakali hai mera manmohan asali hai mere paas jo tha le aayi de do mujhko krishn kanhaayi de du leke jarasa sona mohan hai ya koyi khilauna chal tujhko sansaar mein bechu daaso ke baazaar mein bechu lo yeh tambura bansi bajaiya pakdo yeh kartal kanhaiya bhama swami kaisa swami kiska swami swami ki ho gayi nilami nilami suno suno ai jaanewaalo hai yeh sasta maal uthaalo – 2 sabki mann ki aas main bechu kaisa sundar das main bechu jivan ki naiya ka khiwaiya iska naam hai krishn kanhaiya -2 main padati hu paanv tumhaare nagari nagari dware dware mujhko yu badnam karo na shyam ko tum nilaam karo na apna ghar jo aap jalaaye usaki bigadi kaun banaaye bhul huyi mujhse yeh bhaari jaau kaha viraha ki maari rukmini se tum baat yeh puchho kaise milenge naath yeh puchho rukmini meri bhul bhula de koyi jatan kar krishn mila de aa bhaama main tujhpe waari tu hai mere krishn ki pyaari kya yeh dukh kewal tera hai jo tera hai woh mera hai na maaya se na shakti se bhagvan milte hai bhakti se kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya – 2 pat meri rakho mere bansi bajaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya jivan do paladu ka taraaju ek mein jag saara ek mein bas tu jag halka tu bhaari bansi bajaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya kanhaiya pat meri rakho mere bansi bajaiya
jai jai krishn kanhaayi……………