Setters-hindi-2019
Lyricists:
Raftaar
meri kalam chalegi karam karegi
karam likhe na sharam karegi
kalam ki syahi zakhm jo degi
sahi usey na marham karegi
duba dawaat mein nok ko
meri nok ye nochti soch ko
mujhe sau mein se nabbe laake degi
kalam yeh ghar ko chala ke degi
aise khayalon mein tha
phasa hua main saalon se
tha main anjaan sa
taakat wale paise walon se
roz raat mein
kalam haath mein
raktchaap yaani bp badh gayi
leak huve paper toh
meri maa ki dahi bhi pheeki pad gayi
bhole parindo ko daane chuga ke
haaye bhole parindo ko daane chuga ke
ye jo farebi jaal bicha ke
ho taav laga ke bachne waale
ye saazishon ko rachne waale
parishram karoon ya phir sajjan banun
gaali ek jann ko doon
ya saare system ko doon
parishram karoon ya phir sajjan banun
gaali ek jann ko doon
ya saare system ko doon
jaane kitno ke ghar toote
jaane kis kisko yeh lootein
kartootein kaali hain kaali
kartootein shaitaniyon ke balboote
chalakiyon se loote loote loote loote
kartootein kaali hain kaali
kartootein shaitaniyon ke balboote
chalakiyon se loote loote loote loote
kartoote
guru’r agentam
guru’r dhandha
guru’r devo paisa paisa
guru’r sakshat param mafia
tasmayi shri guruve namah
kartootein