Namak Halaal-hindi-1913
Music Directors:
Bappi Lahiri
Singers:
Kishore Kumar
bujurgo ne bujurgo ne farmaya kee pairo pe apane khade hoke dikhalaao phir yeh jamaana tumhaara hai jamaane ke sur taal ke saath chalate chale jaao phir har taraana tumhaara fasaana tumhaara hai arey toh lo bhaiya ham apne pairo ke upar khade ho gaye aur milaalee hai taal dabaa lega daato tale ungliya liya yeh jahaan dekhkar dekhkar apni chaal wah wah wah wah… dhanyavaad
kee pag ghungru kee pag ghungru baandh meera naachee thee – 2 aur ham naache bin ghungru ke kee pag ghungru baandh meera naachee thee woh tir bhala kis kaam ka hai jo tir nishaane se chuke chuke chuke re kee pag ghungru…
aap andar se kuchh aur bahar se kuchh aur najar aate hain baakhuda shakal se toh chor najar aate hain umar gujaree hai saaree choree me saare sukh chain band jurm kee tijoree me
aap ka toh lagta hai bas yahee sapna raam naam japna paraaya maal apana – 2 watan ka khaaya namak toh namak halaal bano farj imaan kee jinda yaha misaal bano paraaya dhan paraayee naar pe najar mat daalo buree aadat hai yeh aadat abhee badal daalo kyon ke yeh aadat toh woh aag hai jo ik din apsna ghar phunke phunke phunke re kee pag ghungru…
mausame ishk me machale huwe armaan hain ham dil ko lagata hai ke do jism ek jaan hai ham aisa lagata hai toh lagne me kuchh buraayee nahee dil yeh kehata hai aap apanee hain paraayee nahee sange marmar kee hai koi murat ho tum badhee dilkash badhee khubsurat ho tum dil dil se milne ka koi mahurat ho pyaase dilo kee jarurat ho tum dil chir ke dikhladu mai dil me yahee surat hasin kya aapko lagata nahee ham hain mile pehle kahee kya desh hai kya jaat hai kya umrr hai kya naam hai ajee chhodhiye inn baato se hamko bhala kya kaam hai ajee suniye toh haam aap mile toh phir ho shuru afsaane laila majanu laila majanu ke kee pag ghungru…