mujhe baksh de mujhe bakhsh de ya mere ghafoor-ur-raheem

main reza reza bikhar raha hoon sambhaal mujhe andhera mujh mein utar raha hai ujaal mujhe

main reza reza bikhar raha hoon sambhaal mujhe andhera mujh mein utar raha hai ujaal mujhe

main khud se bichhad gaya hoon jaise aag se dhuaan naa zameen na aasmaan hai yeh main aa gaya kahaan

mujhe mera pata de khudara koi rasta bata de khudara mujhe mera pata de khudara koi rasta bata de khudara

aaya kahaan se itna zehar lahu mein ganga ka paani behta tha mere vazu mein jo dikhta hai woh mera wajood nahi aaj main apne aap mein kyun maujood nahi

woh nahi tha jab humara toh uska gham hai kyun dil jal raha hai lekin yeh aankh namm hai kyun

mujhe mera pata de khudara koi rasta bata de khudara mujhe mera pata de khudara koi rasta bata de khudara

le le meri saansein mujhko mar jaane de jaane kab se be-ghar hoon ab ghar aane de kaabe tak tujhe main sochun tera khayal karun saamne aa main tujhse ek sawal karun

main ghalat hoon ya ke duniya yaa kahin ghalat hai tu mujhe de jawaab maula main hoon tere rubaru

mujhe mera pata de khudara koi rasta bata de khudara mujhe mera pata de khudara koi rasta bata de khudara