Dulhan Wahi Jo Piya Man Bhaaye-hindi-1913
khushiya hee khushiya ho daman me jiske kyun naa khushee sey woh divana ho jaye aise mubarak mauke par sathee pesh duwao kaa najrana ho jaye
der sey samjha hamko jamana shukar karo samajh toh gaya sang rahneka khwab suhana ban ke hakikat saj toh gaya tum jo kaho toh saree mehfil sey keh de palbhar me mashhur afsana ho jaye khushiya hee khushiya……
koyee kya janey hamne kya kya khel rachaye tumhare liye ham bhee kaisee kaisee manjil chhod ke aaye tumhare liye kaliya hee kaliya mehka do aise ke abad dil kaa virana ho jaye khushiya hee khushiya……
hans ke humri har bhul bhula dena ham hai tumhre jab chahe bula lena apno kee iss mehfil me abb kam hai kya begano kaa yeh duniya kya mol karegee ek muflis ke armano kaa itnee see hai bas apnee tamanna dil teree khushiyo kaa parwana ho jaye khushiya hee khushiya……