The Train 1970-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
Singers:
Lata Mangeshkar
kis liye maine pyaar kiya dil ko yuhi bekarar kiya sham savere teri raah dekhi raat din intazar kiya – 2 kis liye maine pyaar kiya
aankho me mai ne kajal dala mathe pe bindiya lagai aise me tu aa jaye to kya ho ram duhai chhup ke muh me armano ne li kaisi angadai koi dekhe to kya samjhe ho jaye rusvai mai ne kyon singar kiya dil ko yu bekarar kiya sham savere teri raah dekhi raat din intazar kiya ho kis liye maine pyaar kiya
aaj vo din hai jiske liye mai tadpi banke radha aaj mere man ki bachaini bad gai aur zyada pyaar me dhoka na kha jaye ye man sidha-sada aisa na ho jhutha nikale aaj milan ka vada mai ne kyon aitabar kiya dil ko yuhi bekarar kiya sham savere teri raah dekhi raat din intazar kiya ho kis liye maine pyaar kiya dil ko yuhi bekarar kiya sham savere teri raah dekhi raat din intazar kiya ho kis liye maine pyaar kiya