1921-hindi-2018
Lyricists:
Shakeel Azmi
kuch iss tarah kuch iss tarah ae raat tham zara kuch iss tarah
kuch is tarah kuch is tarah ae raat tham zara kuch is tarah
do jism se ek jaan mein dhal jaaye hum zara kuch is tarah
yeh jo chand ik lakeer sa hai aasman par yunhi aankh mein meri reh chamakta raat bhar
ae baadalon zara si tum se ilteja hai yeh fana na ho umeed ke sitaare doob kar
kuch iss tarah kuch iss tarah ae raat tham zara kuch iss tarah
do jism se ek jaan mein dhal jaaye hum zaraa kuch is tarah
alvida humko kahein muskura ke maut bhi thodi si saansein chupa le seene mein kahi
jee le aa ikk raat mein umr bhar ki zindagi koi bhi pal reh na jaaye jeene mein kahin
kuch iss tarah kuch iss tarah ae raat tham zaraa kuch iss tarah
do jism se ek jaan mein dhal jaaye hum zaraa kuch iss tarah
rooh ki parwaaz pe hai parindey ishq ke humko chahat ki nazar se dekh aasmaan aankh mein jo ashq hai chand ko bhi rashk hai likh rahe hain pyar ki hum aisi daastan
kuch iss tarah kuch iss tarah ae raat tham zaraa kuch iss tarah
do jism se ek jaan mein dhal jaye hum zaraa kuch iss tarah