Likho padhoge toh aage badhoge

Likho padhoge toh aage badhoge

Barood-hindi-1913

b se bolo kya hota hai bahahdur

likho padhoge toh aage badhoge sitaro se unchaa tumhara hoga nam – 2 samajhe naa……

chhutti mile toh khilauno se khelo – 2 jaldi se phir tum kitabo ko le lo – 2 ji naa churayo bate naa banayo jahil rahoge toh hoge badnam likho padhoge toh aage badhoge sitaro se unchaa tumhara hoga nam

alif se bolo kya hota hai ullu an an iman dooniya me dekho imandar rehnaa – 2 jhuth nahi achchha sada sach kehna – 2 dil ko kisi ke tum naa dukhana aisi hi neki karo subah sham likho padhoge toh aage badhoge sitaro se unchaa tumhara hoga nam

achchha bolo b se kya hota hai bandar bahaddur banke bahaddur tum apne watan ke – 2 nigehban ha rehnaa tum apne chaman ke – 2 isako sambhalo gale se laga lo ho aazad abb toh naa hona phir gulam likho padhoge toh aage badhoge sitaro se unchaa tumhara hoga nam

achchha munna bolo te se kya hota hai titar takadir takadir kya hai tum isako bhula do – 2 ilm hunar se andhere mita do – 2 badhate chalo tum kadam ko milake phir aayegi manjil karegi salam likho padhoge toh aage badhoge sitaro se unchaa tumhara hoga nam

m se bolo kya hota hai murga majdur majdur nikale hain tan ke sina – 2 tum bhi karo kuchh aur sikh lo jina – 2 mehnat karoge samajhe ha toh phal bhi milega bado ne kaha hai aaram hai haram