itni fikar kyun karti hai tu itna pyar kyun karti hai raat main jab tak ghar nahi aaun tab tak yun jagti hai

maa tu nahi hogi toh bata meri kaun kare parwah x2

dard mujhe hota hai par kyun aansu tere aate hain chot lagi kyun nahi bataya isi baat pe daante hai

mujhse hi bas puche hai kabhi apna haal suna

maa tu nahi hogi toh bataa meri kaun kare parwah x2

waqt nahi deta hun tujhko yeh meri majboori hai haq tera hi pehla hai phir bhi tujhse hi doori hai

door raha hoon tujhse kitna mujhko gale se laga

maa tu nahi hogi toh bataa meri kaun kare parwah x2

kam hai waqt yeh mujhko pata hai isliye darr lagta hai faasle kyun umar ke dekho uparwala rakhta hai

kam hai waqt yeh mujhko pata hai isliye darr lagta hai

kam hai waqt yeh mujhko pata hai isliye darr lagta hai faasle kyun umar ke dekho uparwala rakhta hai

jab jana ho door akele mujhko bhi le jana

maa tu nahi hogi toh bataa meri kaun kare parwah x2