Prem Granth 1996-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
Singers:
Lata Mangeshkar
main kamjor aurat yeh meri kahaani – 2 mere aansuo se hai ganga mein paani – 2 yeh meri kahaani ho o o o o…
mere paak daaman mein purwaayiya hai – 2 yeh aankhon mein ghum ki jo parchaayiya hai mere naam ki jitani ruswaayiya hai yeh bedard mardon ki hai meherbaani – 2 mere aansuo se hai ganga mein paani main kamjor aurat yeh meri kahaani mere aansuo se hai ganga mein paani
naseebon ne aurat ko samajha khilauna – 2 jamaane ne aurat ko samajha bichhauna yahi toh huwa hai yahi toh hai hona nahi reet badali yeh sadiyon puraani – 2 mere aansuo se hai ganga mein paani main kamjor aurat yeh meri kahaani mere aansuo se hai ganga mein paani
main kaise yeh maili chunar sar pe odhu – 2 toh kya aakhari yeh sahaara bhi chhodu magar apana dil aap kaise main todu yeh kuchh bhi mamata ki hai yeh nishaani – 2 mere aansuo se hai ganga mein paani main kamjor aurat yeh meri kahaani mere aansuo se hai ganga mein paani yeh meri kahaani ho o o o o…