Paltan-hindi-2018
saathiyo saathiyo aakhiri baar kya keh raha hoon suno ho sake toh suno…
maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaaghaz pe ik paigham likha hai jinke naam likha hai unn tak pahucha dena unn tak pahucha dena mere mann ki baat unhe tum batla dena
maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaaghaz pe ik paigham likha hai ik paigham likha hai…
meri maa se tum yeh kehna bachpan mein mujhse tune kaha tha dharti maa bhi maa hoti hai maine aaj iss dharti maa ki laaj rakhi hai mat ro maa tu kyun roti hai kyun roti hai kyun roti hai
maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaaghaz pe ik paigham likha hai ik paigham likha hai…
aa…
mere baba se tum kehna bachpan mein mujhse tumne kaha tha aisa kuch mat karna ki main sharminda hoon tumne kaha tha itihas humse kehta hai jo hai bahadur marke bhi zinda rehta hai baat tumhari maan li maine apne watan pe jaan di maine dekho baba aaj main marke bhi zinda hoon
sau karod insaano ke ehsaas mein main zinda hoon hindostaan ke mann mein base vishwas mein main zinda hoon
naujawaan chehron mein main hoon sarhad par pehron mein main hoon tum mera koi gham na karna apni palkon ko namm na karna apna gaurav kam na karna apna gaurav kam na karna
main zinda hoon main zinda hoon main zinda hoon…