Abdullah-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
maine puchha chand se ke dekha hai kahee mera yar sa hasin chand ne kaha chandni kee kasam nahee nahee nahee maine puchha chand se……
maine yeh hee jaab tera dhundha har jagah shabab tera dhundha kaliyo se misaal teri puchhi phulo ne jawab tera dhundha
maine puchha bag se falak ho ya jamin aisa phul hai kahee bag ne kaha har kali kee kasam nahee nahee nahee maine puchha chand se……
ho chal hai ke mauj kee rawani julf hai ke rat kee kahani hont hain ke aayine kawal ke aankh hai ke mahka do kee rani
maine puchha jaam se falak ho ya jamin aisi meh bhi hai kahee jaam ne kaha mehkashi kee kasam nahee nahee nahee maine puchha chand se……
khubsurati jo tune payi lut gayi khuda kee bas khudayi mir ke gajhal kahu tujhe mai ya kahu khaiyyaam kee rubayi
mai jo puchhun shayaro se aisa dil nashi koyi sher hai kahee shayar kahe shayari kee kasam nahee nahee nahee maine puchha chand se……