–male 1– maathe pe chamke iske sooraj ki laali honton se chhalke dekho masti ki pyaali balkhaaye aise jaise champa ki daali iski adaaein saare jag se niraali

–male 2– mera yaar dildaar bada sona main dekhoon baar baar isko – 2

–female 1– kirne lutaaye dekho chaaron dishaaein khushboo ka jhonka leke aaye hawaaein chaahat ke rangon se hain rangeen fizaaein saare jahan se kehti meri nigaahein

–female 2– mera yaar dildaar bada sona main de doon saara pyaar isko – 2

–female 1– maahi mera maahi meri jind meri jaan ve

–male 1– teri is ada pe ho gaya main qurbaan oye

–female 1– maahi mera maahi meri jind meri jaan ve

–male 1– teri is ada pe ho gaya main qurbaan oye

–male 2– gore gore rang iske neele neele naina dekhe bin ab to kahin aaye nahin chaina haaye resham jaise ang iske gesu jaise baadal dil ko deewana kare dhaani dhaani aanchal shokh bahaaron si lagti hai iski har angdaai

–female 2– o mera yaar dildaar bada sona main de doon saara pyaar isko – 2

–female 1– dol sajna hai duniya badi bepeer ve

–male 1– bichhdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye

–female 1– dol sajna hai duniya badi bepeer ve

–male 1– bichhdegi raanjhana se kabhi bhi na heer oye

–female 2– shehnaai ki sargamon si meethi teri baatein dekhoon main khwaabon mein shaadi doli baaraatein yaara tere saath meri shaamein hain sindoori na to koi pyaas hai na chaahat hai adhoori sau rab di ek pal bhi ab to sehni nahin judaai

–male 2– mera yaar dildaar bada sona main dekhoon baar baar isko

–female 2– haan mera yaar dildaar bada sona main de doon saara pyaar isko

–male 1– maathe pe chamke iske sooraj ki laali honton se chhalke dekho masti ki pyaali

–female 1– kirne lutaaye dekho chaaron dishaaein khushboo ka jhonka leke aaye hawaaein

–male 2– mera yaar dildaar bada sona main dekhoon baar baar isko

–female 2– o mera yaar dildaar bada sona main de doon saara pyaar isko