Aankhen 1968-hindi-1913
Singers:
Lata Mangeshkar
milati hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi hoti hai dilbaro ki inayat kabhi kabhi
sharma ke muh na pher nazar ke sawal par lati hai aise mod par kismat kabhi kabhi
khulate nahi hain roj dariche bahar ke aati hai janeman ye kayamat kabhi kabhi
tanha na kat sakenge jawani ke raste pesh aayegi kisiki zarurat kabhi kabhi
phir kho na jaye ham kahi duniya ki bhid mein milati hai pas aane ki muhalat kabhi kabhi
hoti hai dilbaro ki inayat kabhi kabhi milati hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi