Desh Premi-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
nafarat ki lathi todo lalach ka khajar pheko zid ke pichhe mat daudo tum prem ke pachhi ho desh premiyo desh premiyo aapas me prem karo desh premiyo mere desh premiyo aapas me prem karo desh premiyo – 2
dekho ye dharti ham sab ki mata hai socho aapas me kya apna nata hai ham aapas me lad baithe to desh ko kaun sambhalega koi bahar vala apne ghar se hame nikalega divano hosh karo mere desh premiyo mere desh premiyo aapas me prem karo desh premiyo – 2
mithe pani me ye zahar na tum gholo jab bhi kuchh bolo ye soch ke tum bolo bhar jata hai gahra ghav jo banta hai goli se par vo ghav nahi bharta jo bana ho kadvi boli se to mithe bol kaho mere desh premiyo aapas me prem karo desh premiyo
todo divare ye chaar dishao ki roko mat raahe in mast havao ki purab pashchim uttar dakkhin valo mera matlab hai is mati se puchho kya bhashha kya iska mazahab hai phir mujhse baat karo mere desh premiyo aapas me prem karo desh premiyo – 2