jhootha jag rain basera saancha dard mera mrig trishna sa moh piya naata mera tera

naina jo saanjhe khwab dekhte the naina bichchad ke aaj ro diye hai yun naina jo milke raat jaagte the naina saher mein palkein michte hai yun

judaa huye kadam jinhone li thi ye kasam milke chalenge hardam ab baant’te hai ye ghum

bheege naina jo khidkiyon se jhaankte the naina ghutan mein band hogaye hai yun

saans hairaan hai mann pareshan hai ho rahi si kyun ruaasa ye meri jaan hai kyun nirasha se hai aas haari hui kyun sawalon ka utha sa dil mein toofan hai

naina they aasmaan ke sitaare naina gahen mein aaj toot’te hai yun naina kabhi jo dhoop sekte they naina thaher ke chaaon dhoondte hai yun

judaa huye kadam jinhone li thi ye kasam milke chalenge hardam ab baant’te hai ye ghum

bheege naina jo saanjhe khwab dekhte the naina bichchad ke aaj ro diye hai yun