Laila Majnu-hindi-2018
patta anaaron ka patta chinaaron ka jaise hawaaon mein
aise bhatakta hoon din raat dikhta hoon main teri raahon mein
mere gunaaho mein mere sawaabo mein shaamil tu bhooli athanni si bachpan ke kurte mein se mil tu
rakhun chhupa ke main sab se woh laila maangun zamaane se rab se woh laila kab se main tera hoon kab se tu meri laila
teri talab thi haan teri talab hai tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai kabse main tera hoon kabse tu meri laila
o’meri laila laila khwaab tu hai pehla kab se main tera hoon kab se tu meri laila x2
maangi thi duaayein jo unka hi asar hai hum saath hain naa yahaan dikhava hai naa yahan dunyaavi jazbaat hain
yahaan pe bhi tu hooron se zyada haseen yaani dono jahaanon mein tumsa nahi jeet li hain aakhir mein hum dono ne yeh baaziyan
rakhun chupa ke main sab se woh laila maangu zamaane se rab se woh laila kab se main tera hoon kab se tu meri laila
teri talab thi haan teri talab hai tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai kab se main tera hoon kab se tu meri laila…
o’meri laila laila khwaab tu hai pehla kab se main tera hoon kab se tu meri laila x2
zaaiqa jawaani mein khwaabon mein yaar ki mehmaani mein marziyaan tumhari ho khush rahun main teri manmaani mein
bandh aankhein karun din ko raatein karun teri zulfon ko sehla ke baatein karun ishq me un baaton se ho meethi si naraziyan
rakhun chhupa ke main sab se woh laila maangun zamaane se rab se woh laila kab se main tera hoon kab se tu meri laila
teri talab thi haan teri talab hai tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai kab se main tera hoon kab se tu meri laila
o’meri laila laila khwaab tu hai pehla kab se main tera hoon kab se tu meri laila x2