Banphool-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
o tara tera mera nahi gujara – 2 too thehri gharwali mai thehra banjara pyara tera pyar hai mujhko pyara tere liye gharbar toh kya mai chhod du yeh jag sara
mela dooniya do roj kaa mela o aata jata yauva jaise pani kaa ik rela mela dooniya do roj kaa mela thamle bainya mele me are kahe phire akela
dhokha mere sath huwa ee yeh dhokha – 2 mera ghunghat khol gaya beyiman pavan kaa jhonka jhonka mai hota kash woh jhonka mere hath se nikal gaya hai ek sunahara mauka
badal teree aankh kaa jaise kajal – 2 dhak dhak mann ko leke chham chham baje teree payal aanchal hat chhod de mera aanchal sach kehte hain premi hote hain thode se pagal
choti meree do gaj lambi choti – 2 babul ko samjhayo koyi abb meree umar nahi chhoti moti mat barsa aankh se moti yeh sabko malum hai mai hu dipak too hai jyoti
rani sun apni prem kahani – 2 hamko samjhane ko aayi yeh dooniya divani jani yeh dooniya nahi jani dil ki aag bujha naa paye sare jag kaa pani
nyara mai karati tujhe ishara samne meree khidaki ke jo hota tera chaubara o tara kya khidaki kya chaubara tod ke sab divare ik din hoga milan hamara