Piku-hindi-2015
subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai isi ki roshni udi jo har taraf hai ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai ye jaake waqt se hisaab maangti hai ye paani hai ye aag hai ye khudi likhi kitaab hai pyaar ki khuraak si hai piku subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai
panna saanson ka palte aur likhe unpe mann ki baat re lena isko kya kis se isko toh bhaaye khudka saath re uh oh barish ki boond jaise sardi ki dhundh jaise kaisi paheli iska hal na mile
kabhi ye aasmaan utaarti hai neeche kabhi ye bhaage aise baadalon ke peeche isey har dard ghoont jaane ka nasha hai karo jo aaye jee mein iska falsafa hai
ye paani hai ye aag hai ye khudi likhi kitaab hai ye pyaar ki khuraak si hai piku
mode raahon ke chehre isko jaana hota jis ore hai aise sargam sunaaye khud iske sur hain iske raag re uh oh roothe toh mirchi jaisi hansde toh cheeni jaisi kaisi paheli iska hal na mile
subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai isi ki roshni udi jo har taraf hai ye lamho ki kuve mein roz jhaankti hai ye jaake waqt se hisaab maangti hai
ye paani hai ye aag hai ye khudi likhi kitaab hai pyaar ki khuraak si hai piku subah ki dhoop pe isi ki dastkhat hai