Poetry of kaagaz

Poetry of kaagaz

Kaagaz-hindi-2021

kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi kya ajab cheez hai ye kaagaz bhi

baarishon mein hai naav kaagaz ki sardiyon mein alaav kaagaz ki aasmaan mein patang kaagaz ki saari duniya mein jung kaagaz ki

kabhi akhbaar kabhi khat kaagaz rozmaraah ki zaroorat kaagaz aane jaane ki sahulat kaagaz jeene marne ki ijazat kaagaz

pyar ki chitthiyan bhi kaagaz ki kaam ki arziyan bhi kaagaz ki jashn mein jhandiya bhi kaagaz ki jism ki mandiyan bhi kaagaz ki

bane naaton ka bhi gawaah kaagaz kahin shaadi kahin nikaah kaagaz kahi talaak ka gunaah kaagaz banaye aur kare tabaah kaagaz

note kaagaz kitaab hai kaagaz sabki aankhon ka khwaab hai kaagaz majhabo ka hisaab hai kaagaz raham kaagaz ajaab hai kaagaz

chhine le khet ghar zamee kaagaz pochhe aankhon ki bhi nami kaagaz har jagah yun hai laazmi kaagaz jaise ghar ka hai aadami kaagaz

kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi kya ajab cheez hai ye kaagaz bhi