Sapna hai sach hai

Sapna hai sach hai

Panipat-hindi-2019

sapna hai sach hai ki jaadu hai ya jaane kya hai behta samay ek pal ko yahin tham gaya hai

lagta hai tha likha tu hai mere liye aur mujhe bhi tera hona hi tha

kitne din tha ye mantar sa jeena har pal tha dubhar sa kal jeevan tha soona soona sukh ka baadal ab hai barsa

jaise panchhi ambar paaye jaise nadiya sagar paaye aise maine tumko paaya jaise radha girdhar paaye

lagta hai tha likha tu hai mere liye aur mujhe bhi tera hona hi tha

jaagi aasha kab ki soyi tum ho main hoon aur na koi door kahin par apna ho ghar sochun main ye khoyi khoyi

kehne ko jo mera mann hai ab woh tera singhasan tera pehra inn saanson par teri jogan ye dhadkan hai

lagta hai tha likha tu hai mere liye aur mujhe bhi tera hona hi tha