Shaurya-hindi-1913
Lyricists:
Javed Akhtar
Music Directors:
Adnan Sami
shaurya kya hai thartharati is dharti ko raungati faujiyo ki ik paltan ka shor ya sehame se aasman ko chirata huwa banduko ki salaami ka shor shaurya kya hai hari wardi par chamakate huye chand pital ki sitare ya sarhad ka naam dekar andekhi kuchh lakiro ki numaish
shaurya kya hai dur udate khamosh paride ko goliyo se bhun dene ka ehsaas ya sholo ki barsat se pal bhar mein ek sehar ko shamshan bana dene ka eshaas shaurya behti bias mein kisi ke garm khun kam huale se surkh ho jana ya anjani kisi jannat ki firak mein pal pal ka dojak bante jana barudose dhundhalaye iss aasman mein shaurya kya hai
wadiyo ki gunjte kisi ganv se matam mein shaurya kya hai shaurya shayad ek hoshla shayad ek himmat hamre bhaut ander majhab ke banaye daayare tod kar kisika haath tham lene ki himmat goliyo ki betahsha shor ko apni khamoshi se chunoti de pane ki himmat marti marati is duniya mein nihatte date rehne ki himmat
shaurya aane wale kal ki khatir apne hisse ki kaynat ko aaj bacha lene ki himmat shaurya kya hai