The Xpose-hindi-1913
sheeshe ka samundar paani ki deewarein – 2 maaya hai bharam hai mohabbat ki duniya iss duniya mein jo bhi gayaa woh to gaya – 2 ho sheeshe ka samundar paani ki deewarein
barf ki reton pe shararon ka thikana garm sehraaon mein narmiyon ka fasaana yaadon ka aaina uthta hai jahaan sach ki parchaaiyan har jagah aati hai nazar sone ke hain baadal pattharon ki barish maya hai bharam hai mohabbat ki duniya iss duniya mein jo bhi gayaa woh to gaya ho seeshe ka samundar paani ki deewarein
dil ki iss duniya mein sarhadein hoti nahi dard bhari aankhon mein raahatein soti nahi jitne ehsaas hain an-bujhi pyaas hai zindagi ka falsafa pyaar ki panahon mein chhupa dhup ki hawaayein kaanton ke bageeche maya hai bharam hai mohabbat ki duniya iss duniya mein jo bhi gayaa woh to gaya ho shishe ka samandar paani ki deewarein