ho hoho…

pavitra bhoomi bharati ki maati pe tu janma roop hai tu nar singh kaa charitra tera taarikhein bhi garv se likhengi chamakta rahe tu surya saa

mrityu ne hi tujhko lambi umar hai dedi sada ko hai amar teri ye kathaa aasmaan bhi jhuk ke pranaam tujhko karta tu aaya hai yahaan nayi si subah sa

ho sye raa ho sye raa ho sye raa savera teri saanson mein basaa ho sye raa ho sye raa ho sye raa andhera tere aane se hataa

ho ho sye raa sye sye sye raa ho ho sye raa ho ho sye raa sye sye sye raa ho ho sye raa

ghamandi se firangiyon ke aage himmaton se tu dahaadta jhuke jhuke dare huve saron pe veerta ka mantra jhaadta

lalkaar tu jo yeh kehti hai maati ke liye har saans ko nichhavar kar do naa

boond boond karke itne log tune jode samudra veerta ka hai banaa prachand aandhi bannke jo ki duniya ko hila de

firangiyon ke zulm se ladaa ye pehli hai ladaai jo janta ne hai chhedi yun bijli ki tarah garaj rahi sada

ghulaami ke andheron ko raakh mein milaane mashaalon ki tarah sulag sulag rahaa

ho sye raa ho sye raa ho sye raa savera teri saanson mein basaa ho sye raa ho sye raa ho sye raa andhera tere aane se hataa

ho ho sye raa sye sye sye raa ho ho sye raa ho ho sye raa sye sye sye raa ho ho sye raa

daas ban ke jeene se acha hai yuddh mein hi lad lad ke mar jaaye hum mushqilon se mila hai manushya ka janam ismein kyun hum sahein ye sitam

bhaai bandhu sakhaa putra maa aur behan bhoolkar ke aage badhte jaayein hum ho dikhe ek par baney laakh hum lakshya ki taraf badhe kadam

yuddh bhoomi jaao yuddh bhoomi jaao saare sinha banke saare sinha banke shoor hai tu shoor hai tu veer hai tu veer hai tu dushmaon ko ab jado se hi tum ukhaad do

ho sye raa ho sye raa ho sye raa savera teri saanson mein basaa