Dus Tola-hindi-1913
tum se kya kehna hai suno tum se kya ab sunna chorr diya ab chandni rat me mai ne sapne bunna mai apni tanhai se ab sab keh leta hu tum bolo na bolo tum bolo na bolo – 3
rat ko jab chand puche ga wo kesi lag rahi thi chand se kah dunga mujh ko tere jesi lag rahi thi us me bhi ek dag nikla tu bhi to ghat ta hai barhta hai der sawer se chadta hai tera sona kab khara tha sirf asharfi ki tarah tha jab tum milo kahna use zaruri nahi hai tum bolo na bolo tum bolo tum bolo na bolo na bolo na bolo…
meri aadat me nahi hai koi rishta tod dena meri shayar ne kaha tha mod de kar chod dena ajnabi phir ajnabi hai gehne bohot pehno ge yaad ka zewar naya hai dard jo ghulte nahi hai rang wo dhulte nahi hai sare giley baaqi rahae magar yaad hai tum bolo na bolo tum bolo na bolo
tum se kya kehna hai suno tum se kya ab sunna chod diya ab chandni rat me mai ne sapne bunna mai apni tanhai se ab sab keh leta hu tum bolo na bolo tum bolo na bolo – 3