are ra ra…

raat paune barah pe daal ke sharara baghdad se mangayi raat hai

haal se malangi hai chaal se firangi shaitaan ki lugaai raat hai

iski ada mein kohinoor ka jamaal hai shauqeen hai mijaaz se miyan kamaal hai angoor ke nichod mein naha ke aayi hai mauqe ka fayeda utha le…

are ra ra… hud-dang mache shor mache halle ay are ra ra… jab tak na dhale raat jashan karle haan thirak thirak thirak thirak jhoom le vashmelle yaara vashmalle x2

qaazi bole peena paap hai lekin apni tabiyat madira-chaap hai na bandhu na sakha apna kaun sagaa ik saaqi hi maai baaap hai

pee ke fanney khan ban jaayenge gaane aata na ho phir bhi gaayenge sur behaal toh kya chhoote taal toh kya itni bhool chook maaf hai

sooraj ko doobne se pehle hi salaam hai hoti peeyakkandon ki dopahar bhi shaam hai gustakh josh ne zara tangdi jo maar di dekho zameen pe hosh gir pada dhadam hai

are ra ra… hud-dang mache shor mache halle ay are ra ra… jab tak na dhale raat jashan karle haan thirak thirak thirak thirak jhoom le vashmalle vashmalle vashmalle yaara vashmallex2