Rock On 2-hindi-2016
Lyricists:
Javed Akhtar
Singers:
Farhan Akhtar
neela aakash jo ik samandar hai usmein kahi koi aisa sitara bhi hai jisme dusri ik duniya ho basi jisme ho jaagti zindagi
par humse alag humse judaa ik nishaan bhi na ho jahan dard ka jeena jahan ho nahi mushkil
koi rota na ho chain khota na ho ho yeh sabko yakeen koi tanha nahin na kabhi toote kisi ka dil
woh jahaan koi dukh ho na ho koi gham woh jahaan palke na hon nam dilo mein hona deewarein na dooriyan woh jahan poore ho armaan
sabko ho ye pata sab dilon mein mohabbat ek gehri dhara bhi hai neele aakash mein koi aisa sitara bhi hai
farhan akhtar neele aakash ke iss samandar ka chaand ki kashti mein maine kiya hai safar dhoondti ho agar tum jo duniya haseen woh duniya hai yahi woh yahi hai kahi
haan magar uske chehre par nafrat ki zulm ki ik dhool hai jam gayi haan magar uske tann pe lipti lalach ki hai zanjeer toh woh duniya aate aate tham gayi
uske chehre se yeh dhool hatt jaaye toh uske tan se ye zanjeer kat jaaye toh dekhna phir yahaan is zameen par hi hogi woh duniya
woh jahan koi dukh ho na ho koi gham woh jahan palke na hon nam dilon mein hona deewarein na dooriyan woh jaha poore ho armaan
muskurati ho chehron pe ik roshni zindagi ho mohabbat bhari zindagi