in kaali sadiyon ke sar se jab raat ka aachal dhalkega

jab dukh ke badal pighlenge jab sukh ka sagar chalkega jab ambar jhumke nachega jab dharti nagmein gayegi

woh subah hum hi se aayegi woh subah hum hi se aayegi 2 times

jis subah ki khatir jagg jusse hum sab mar mar ke jeete hai

jis subah ki amrit ki dhun mein hum zehar ke pyale peete hain

in bhooki pyaasi roohon par ik din tu karam pharmayegi

woh subah hum hi se aayegi woh subah hum hi se aayegi

maana ke abhi tere mere armano ki kimat kuch bhi nahin

mitti ka bhi hai kuch mol magar insano ki keemat magar kuch bhi nahin

insano ki izzat jab jhoothe sikko mein na toli jayegi

woh subah hum hi se aayegi 6 times