hum chiz hain bade kaam ki yaaram humein kaam pe rakh lo kabhi yaaram hum chiz hain bade kaam ki yaaram

ho suraj se pehle jagayenge aur akhbaar ki sab surkhiyaan hum gungunayenge pesh karenge garm chai phir koi khabar aayi na pasand toh end badal denge ho munh khuli jamhaai pe hum bajaayein chutkiyaan dhup na tum ko lage khol denge chhatariyaan pichhe pichhe din bhar ghar daftar mein le ke chalenge hum tumhaari filein tumhaari diary gaadi ki chaabiyan tumhaari enakein tumhaara laptop tumhaari cap aur apna dil kanwaara dil pyaar mein haara bechara dil – 2

yeh kehne mein kuch risk hai yaaram naaraz naa ho ishq hai yaaram

ho raat savere shaam ya dopehari band aankhon me le ke tumhe ungha karenge hum takiye chaadar mehake rehte hain jo tum gaye tumhari khushbu soongha karenge hum o o o zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan kaan khinch jaaye agar kha lein meethi gaaliyaan chunte chale pairon ke nishaan ki unn par aur na paanv pade tumhari dhadkanein tumhari dil sune tumhari saans sune lagi kampkapi naa gajre bune juhi mogra toh kabhi dil humaara dil pyar mein haara bechara dil humara dil humara dil pyaar mein haara bechara dil……