Saath Saath-hindi-1913
Lyricists:
Javed Akhtar
yeh teraa ghar yeh meraa ghar kisee ko dekhna ho gar toh pehle aake maang le meree najar teree najar yeh teraa ghar yeh meraa ghar yeh ghar bahut hasin hai -3
naa baadalo ke chhaanv me naa chaandanee ke gaanv me naa phul jaise raaste bane hain isake vaaste magar yeh ghar ajib hai jamin ke karib hai yeh int pattharo kaa ghar hamaaree hasrato kaa ghar yeh teraa ghar……
jo chandanee nahee toh kya yeh roshanee hai pyaar kee dilo ke phul khil gaye toh fikr kya bahaar kee hamaare ghar naa aayegee kabhee khushee udhar kee hamaaree raahato kaa ghar hamaaree chaahato kaa ghar yeh teraa ghar……
yaha mahak wafaao kee mohabbato kaa rang hai yeh ghar tumhaara khwaab hai yeh ghar meree umang hai naa aarju pe kaid hai naa hausle pe jung hai hamaare hausalo kaa ghar hamaaree himmato kaa ghar yeh teraa ghar…