Yuun nind se woh jaan-e-chaman

Yuun nind se woh jaan-e-chaman

Dard Ka Rishta 1982-hindi-1913

Lyricists

yuun nind se woh jaan-e-chaman jaag uthi hai – 2 pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai yuun nind se woh jaan-e-chaman

phir yaad hamein aayein hain saawan ke woh jhule – 2 woh bhul gaye hamako unhein nahi bhule unhein nahi bhule iss dard ke kaanton ki chubhan jaag uthi hai pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai

iss shehar se achchha tha bahot apana woh gaanv – 2 panghat hai yahaan koyi na pipal ki woh chhanv – 2 pachchhim mein woh purab ki pawan jaag uthi hai pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai yuun nind se woh jaan-e-chaman

hum log sayaane sahi deewaane hai lekin begaane bahot achchhe hai begaane hai lekin -2 begaano mein apano lagan jaag uthi hai pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai yuun nind se woh jaan-e-chaman jaag uthi hai