Anurodh-hindi-1913
Lyricists:
Anand Bakshi
Singers:
Kishore Kumar
hmm… aate jate khubsurat aawara sadko pe kabhee kabhee itefak se kitne anjan log mil jate hain uname se kuchh log bhul jate hain kuchh yad reh jate hain uname se kuchh log bhul jate hain kuchh yad reh jate hain – 2
awaz kee dooniya ke doston kal rat kisi jagah mujhko
kis kadar yeh hasin khayal mila hain rah me ek reshmi rumal mila hain jo giraya tha kisine jankar jiska ho le jayey woh pehchankar warna mai rakh lunga usako apna jankar kisi husnwale kee nishani mankar nishani mankar……
hanste gate logo kee bato hee bato me kabhee kabhee ek majak se kitne jawan kisse ban jate hain un kisso me chund bhul jate hain chand yad reh jate hain uname se kuchh log bhul jate hain kuchh yad reh jate hain……
takdir mujhpe meherban hai jis shaukh kee yeh dastan hai
usane bhi shayad yeh paigham suna ho mere gito me apna nam soona ho – 2 dur baithi yeh raj woh jan le meri aawaz ko pehchan le kash phir kal rat jaisi barsat ho aur meri usaki kahee mulakat ho mulakat ho
lambi lambi rato me nind nahee jab aaye kabhee kabhee iss firaq se kitne hasin khwab ban jate hain uname se kuchh khwab bhul jate hain kuchh yad reh jate hain uname se kuchh log bhul jate hain kuchh yad reh jate hain
aate jate khubsurat aawara sadko pe kabhee kabhee itefak se kitne anjan log mil jate hain uname se kuchh log bhul jate hain kuchh yad reh jate hain